Kal yun hi khangaalne ki soche mann ko
Tasavvur najar hi na aya tumhara
Chownk ke poocha maine dil se,
vo bola ye sab gehraiyon ka fareb hai.. Par mujhe na hua gavaara..
Yakeen nahi hua, intezar to pakka tha mera,
Fir kiun nahi aayi koi Awaaz
socha jo door hai door hokar bhi kareeb hai..
Reham kar ab ae dil aur BandaNawaj...
Haan.. Ab unki ho gayi.. Dil me to ho tum.. hamesha rahoge..jab tak hun .. Tumhari ho sakti thi.. Hamesha ke liye.. Khair chalo ab kya sochna ye.. Par tumhara is tarah ki batein.. mil nahi sakti .. sath khadi nahi ho sakti..gussa dilata hai..dil dukhaata hai mera.. Ki jab khade hona tha tab kahan the.. tab ho jate sath khade ek baar himmat karke.. Aur nahi, to ab chalo theek hai sab manjoor.. par aise to mat blame kiya karo har baat pe mujhe.. Meri kya galti hai.. Sirf ye shayad ki khud se jada pyar kiya tumse.. Tumse to bht bht jada kiya.. Utna kabhi nahi hoga tumhe
Comments
Post a Comment